تقلیدکاثبوت قرآن سے: اللہ تعالی کاارشادہے اے ایمان والوں اطا عت کرواللہ کی اور اس کے رسول کی اور اپنے میں سے جو اولی الامر ہے ان کی اطاعت کرو: نساء آیت ۵۹

Taqleed in the Quran : Allah Says : “ Ask the people who know, if (when) you do not know.” (Nahl – 43/ambiyaa).

Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Bare Me Firqa Naam Nihad Ahle Hadees Aur Unke Ulama Ka Nuqta E Nazar

Mohtaram Islaami Bhaiyo ! Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Har Daur Me Is Aqeede Par Kaamil Ittefaq Raha Hai Ke Poori Insaniyat Me Ambiya Kiram Alaihums Salaam Ke Baad Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Sab Se Afzal Hain. Quran Paak Me Allah Ta’ala Ne Kayee Ayaton Me Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ki Tareef Farmayi . Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Beshumaar Ahadees Me Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Fazail Bayan Farmaye. Ek Hadees Me Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Poori Ummat Ko Takeed Farmayi Ke Allah Allah Fii Ashaabii. Mere Sahaba Ke Bare Me Allah Se Daro, Mere Baad Unko Nishana Malaamat Mat Banao. Jisne Unse Muhabbat Ki Usne Meri Muhabbat Ki Wajeh Se Unse Muhabbat Ki Aur Jisne Unse Dushmani Ki Usne Mujhse Dushmani Ki Wajeh se Unse Dushmani Rakhi . 
(Tirmizi)





Is Hadees Shareef Se Maloom Hua Ke Sahaba Razi Allahu Anhum Ki Muhabbat Nabi Se Muhabbat Hai Aur Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Se Dushmani Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Dushmani Hai. Doosri Hadees Me Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Bare Me Farmaya Ashaabii Kan Nujoom.
Mere Sahaba Sitaron Ki Mannind Hain Unme Se Tum Jiski Pairwi Karoge Hidayat Paoge.(Tirmizi).
Quran O Hadees Ki Roushni Me Ahle Sunnat Wal Jamat Ke Nazdeek Sahaba Razi Allahu Anhum Mi’yaar E Haq Hain Unke Aqwaal O Af’aal Hujjat Hain. Aur Unko Bura Bhala Kehne Wala Zindeeq Hai. Kyunke Ummat aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke Darmiyaan Waasta Yahi Jamaat e Sahaba Hai. Agar Inko hi Naqaabil e Aitebaar Kardiya Gaya Toh Phir Deen ki Ibarat Hi Gir Jayegi. Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Zarye Hi Poori Ummat Tak Quran O Hadees Ka Ilm Pohancha . Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Hi Deen E Islaam Ke Kaamil O Mukammil Tarjumaan Hain. Aur Allah O Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sachche Aashiq Aur Mutee’ O Farmabardaar Hain.
Sarkaar e Do Jaha Sallallahu Alaihi Wasallam ke Irshaad ki Roshni me Sahaba Ikraam Rdh. Ko Bura Bolne Walo ka Anjaam :
Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshaad e Mubarak Hai: Allah ne Mujhe Mutakhab Kiya aur Mere Liye Mere Saathiyo ka Intekhaab Farmaya Inme Mere Kuch Wuzara Banaye , Madadgaar aur Kharaabatdaar Banaye : Pas Jo Inhe Bura Kahe Uspar Allah ki , Allah ke Farishto ki aur Tamaam Insaano ki Lanat Ho , Qiyamat ke Din Na Uska Farz Qubool Kiya Jayega , Na Nafil.(Al Mujam Al Kabeer : 140/17).
Sahaba Ikraam Rdh. Ko Bura Bolne ke Saat Musalmaano ka Kya Rawaiyaa Hona Chahiye:
Allah tala ke Akhri Nabi Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshaad e Mubarak hai : Allah Tala ne Mere Saathiyo ka InteKhab Farmaya aur Unhe Mere Sahaba , Madadgaar aur Kharabatdaar Banaya.Inke Baad Kuch Aise Log Aayege Jo Inhe Bura Kahege , Unhe Naqais aur Kami Nikalege , Agar Tum Aise Logo ko Pao Toh Na Unke Saat Nikah ka Rishta Rakho , Na Unke Saat Khao Piyo aur UnKe Saat Namaz Padho aur Na Hi Unke Janaze ki Namaz Padho.(Jamiul Ahadees 431/7 , Mazihire Haq 58/5).
Sahaba Ikraam Rdh. Ki Shaan me Gustaaqi Karne Waalo ka Anjaam :
Anhuzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya : Jab Tum Unlogo ko Dekho Jo Ashaab Rdh. ko Bura Keh Rahe Hai Toh Kaho Allah Tumhare Shar par Lanat Kare.(Tirmizi Shareef : Hadees : 3801)
Kitab O Sunnat Ki Gawahi , Salaf Saaliheen Aur Poori Ummat Ke Is Muttafaqh Faisle Ke Bar Khilaaf Hum Dekhte Hain Ke Maujooda Zamani Ke Ahle Hadees Ghair Muqallideen Hazraat Sahaba Ikram Razi Allahu Anhum Ke Bare Me Be Khaufi Ke Sath Zaban Daraazi Karte Aur Nashaista Kalimaat Zaban O Qalam Se Nikaalte Chale Jaate Hain. Jin Ki Chand Misalen Yahan Pesh Ki Jati Hain.
Ek Bade Ghair Muqallid Aalim Waheeduz Zama Saheb Likhte Hain
و منه يعلم ان من الصحابة من هو فاسق كالوليد و مثله يقال في حق معاوية و عمرو و سمرة"
Tarjuma: Isse Maloom Hua Ke Kuch Sahaba Faasiq Hain Jaisa ke Waleed (Bin Uqba) Aur Isi Ke Misl Kaha Jayega Muawiya(Bin Abu Sufyan), Amr(Bin Aas) Mughira (Bin Shoba ) aur Samura (Bin Jundub) Ke Haq Me (Ke Wo Bhi Faasiq  Hain)(Haasiyah Nuzulul Abrar 94/3).
Yahi Ghair Muqallid Saheb Dusri Jagah Likhte Hai : Hamare Imam Mahdi Abu Bakar Rdh. wa Umar Rdh. Se Afzal Hai.(Hadiyatul Mahdi 90/1).
Ek aur Jagah Likhte Hai : Khwaab me Allah ka Didaar Mumkin Hai aur Aisa Huwa Hai……Hamare Imam Ahmed Bin Hambal Rh. ne Allah ko Khwaab me Dekha Hai.(Hadiyatul Mahdi 89/1).
Isi Kitaab me Ek Jagah Likhte Hai : Ambiya ke Baad Hazrat Abu Bakar Hazrat Umar Rdh. Ke Afzal Hone Par Puri ke Ittefaaq ka Dawa Hum ( Ahle Hadeeso) ko Manzoor Nahi Hai. (Hadiyatul Mahdi : 96/1).
Dusri Jagah Likhte Hai: Ahle Hadees Shian e Ali Hai. (100/1).
Ek aur Jagah Likhte Hai : Wadatul Wujood ke Qaayil Sufiya me Shaik Mohi Uddin Ibn Arabi Hai. Shaik Ibn Arabi Rh. Usulan aur Furuan Ahle Hadees. Jo Shaks Unko Bura Kehta Hai Wo Shaks Khatre me Hai. (Hadiyatul Mahdi:51/1)
Aaj kal Ghair Muqallideen Hazraat Apni Jamaat ke Mashoor  Aalim Waheed uz Zama Saheb ki In Ibaarato se Pareshaan Hokar Unke Ahle Hadees Hone ka Inkaar Kar Rahe Hai.Lekin In Hazraat ki Yeh Koshish Bilkul be Faida Hai. Kyunke Waheed Uz Zama Saheb ne Apni Kitabo me Kai Jagah Apne Aap ko Ahle Hadees Jamaat ki Taraf Mansoob Kiya Hai aur Unke Zamane Ya Uske Qareeb ke Daur ke kisi bhi Ahle Hadees ne Unko Hanafi nahi Kaha. Balke Ahle Hadees Ulama ki Fehrist me Unka Naam Bade Ahteraam ke Saat Likha Jaata Raha Hai. (Maslan Dekhiye 40 Ulama e Ahle Hadees  , Ulama e Ahle Hadees ki Tasnifi Khidmaat Wagaira).
Lehaza Ab Unka Inkaar Karna Na Qaabile Aitebaar Hai.
Maujooda Jamat Ahle Hadees Ke Ek Saheb E Qalam  Hakeem Faiz Alam Khaleefa E Raashid Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ke Mutalliq Likhte Hain:
“ Ap Ko Ummat Ne Apna Khaleefa Muntakhab Nahi Kiya Tha, Ap Dunya E Aibayyat Ke Muntakhab Khaleefa The; Isi Liye Apki Khud Sakhta Khilafat Ka Char Paanch Saala Daur Ummat Ke Liye Azaab E Khudawandi Tha, Jisme Ek Lakh Se Ziada Farzandane Tauheed Khoon Me Tadap Tadap Kar Khatm Hogaye.”(Siddiqa E Kainaat : 228)
Yahi Ghair Muqallid Hakeem Sahib Dusri Kitaab me Tehreer Karte Hain:
“Syedna Ali Razi Allahu Anhu Ke Khudsakhta Hukumraana Uboori Daur Ko Khilafat E Rashida Me Shumar Karna Sareehan Deeni Bad Diyanati Hai; Magar Aghyaar Ne Jis Chaabuk Dasti Se Anjanaab Razi Allahu Anhu Ki Naam Nihad Khilafat Ko Khilafat E Haqqah Sabit Karne Ke Liye Dunya E Sibaayyat Se Dar Aamad Kardah Mawaad Se Jo Kuch Tareekh Ke Safhaat Me Qalam Band Kiya Hai Uska Haqeeqat Se Qat’an Koi Talluq Ya Wasta Nahi”(Khilafat E Rashidah : 55,56)
Nawase e Rasool Hazrat Hasan aur Hussain Rdh. Ke Bare me Zehar Afshaani Karte Huve Likhte Hai:
“Hazrat Hasnain Ko Zamra E Sahaba Me Shumar Karna Sareehan Sibayyat Ki Tarjumani Hai Ya Andha Dhund Taqleed Ki Kharabi.”(Syedna Hassan Bin Ali :23)
Hazrat Hussain Rdh. Ke Safar e Karbala ka Mazaaq Udaate Huwe Likhte Hai:
Aap Elaa’e Kalimatul Haq Ke Nazariye Ke Tahat Aazim E Kufa Nahi Huve The ; Balke Husool Khilaafat Ke Liye Aap Ne Yeh Safar Ikhtiyaar Kiya Tha ( Waqiya E Karbala : 18 )
Yahi Masoof Alama Iqbal Rh. Ke Ek Shair :
Mitaya Qaisar Wa Kisraa Ke Istebdaad Ko Kisne        
Wo Kya Tha Zoor e Haidar Faqre Buzar Sidqe Salmaani.
Par Hakeem Sahaab Tanqeed Karte Huve Likhte Hai:
“ (Is Shar Me) Dusre Number Par Hazrat Abuzar Ghaffaari Rdh. Ka Naam Hai Jo Ibn Saba Ke Communist Nazariye Se Mutaasir Hokar Har Kaate Pite Musalmaan Ke Peeche Ladlekar Bhaag Uthte The( Khilaafat E Raashaida : 143)
 Jamaat e Ghair Muqallideen ki Mashoor Tareen Shaksiyat Nawab Siddiq Hasan Khan ke Saheb Zaade Nawab Noor ul Hasan Khan Likhte Hai :
Balke Hajat ke Waqt Musht Zani Karna Mustahab Hai ……Baaz Ahle Ilm se Manqul Hai ke
“Sahaba Rdh. Jab Ahle Ayaal Se Door Hote Toh Sahaba Ikraam Rdh. Bhi Musht E Zani Kiya Karte The. (Al Eyaazubillah ) (Arful Jaadi Safa No: 207 ).
Maujuda Jamaat Ahle Hadees ke Mufassir wa Mutakallim , Muta-aasib Kalaam Kaar Maulana Muhammed Junagadi Saheb ki Yeh Hijaab Zubaan Daraazi Bhi Padhiye:
 “Hanafi Bhaiyo ! Zara Kaleje Par Haat Rakhkar Imaandaarr Se Batlaao Ke Hazrat Imam Abu Hanifa Rh. Ilm Wa Fiqa Me Badhe Huve The Ya Hazrat Umar Al Farooq Rdh. Khalifa E Muslimeen , Ameer Ul Mumineen Rdh.Bas Aao Suno ! Bahut Se Saaf Saaf Mote Mote Masail Aise Hai Hazrat Farooq E Azam Ne Unme Ghalti Ki Hai.(Taariq E Muhammedi : 78 )
Mufassir Sahaab Mazeeb Himmat Karte Huve Aage Likhte Hai:
“Suniye Janaab ! Buruzgo Ki , Mujtahido Aur Imaam Ki Rai , Qiyaas , Ijtehaad , Istambaat Aur Unke Aqwaal Kaha Shariyat E Islaam Me , Toh Khud Nabi E Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Bhi Apni Taraf Se Be-Ghair Wahi Ke Kuch Farmaye Toh Wo Bhi Hujjat Nahi “ (Taareq E Muhammedi : 57 )
Maazi Qareeb ke Mashoor Wa Muta-aasib Ghair Muqallid Aalim Rayees Nadwi Salafi Saheb Likhte Hai:
Bahut se Sahaba Rdh. Wa Tabien Bahut se Ayaat ki Qabar Rakhne aur Tilaawat Karne ke Bawajuud Bhi Mukhtalif Wujooh(Wujuhaat) se Unke Khilaaf Amal karte The.(Tanveer ul Aafaaq : 47 ) (Nauzbillah).
Yahi Shaik Saheb Ek Jagah Tehreer Karte Hai:
In Dono Sahaba ( Ameer ul Momineen Hazrat Umar Farooq Rdh. , Faqeeh ul Ummat Hazrat Abdullah Bin Masood Rdh. ) Ko Nusoos (Quran wa Hadees ke Wazeh Ahkamaat ) ke KhilaafWarzi ka Murtakib Qaraar Diya Jaasakta Hai.(Tanveer ul Aafaaq : 87).
Inke Alawa Ulama e Ghair Muqallideen ki Aur Bhi Tehreere aur Ibaarate Hai Lekin Bataur e Namuna Itna Kaafi Hai.
Is Tehreer Ka Maqsad Sirf Haq Baat Ki Taraf Tawajjo Dilaana Aur Burai Se Rokna Hai.
Agar Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Ahbaab Upar Pesh Ki Gayi Kitabo Ka Inkaar Karte Hai Aur Ahle Hadees Jamaat Ke Ulama Ki In Tehreer Ko Gumrah Samajte Hai Toh Unse Arz Hai Ke Ahle Sunnat Wal Jamaat Ulama Ki Kitabo Ke Khilaaf Wo Jis Tarah Propaganda Kar Rahe Hai Isi Tarah In Ghair Muqallid Salafi Ulama ki Kitabo Ke Khilaaf Bhi Jalse Aur Bayaanaat Kare.Unke Khilaaf Kitabe Aur Ishtehaaraat Chaapkar Apni Baraat Ka Saboot De.
Alama Ibn Qayyim Rh. Fuqaha Ikraam Rh.ki Fazilat Bayaan Karte Huve Farmate Hai :
“Yahi Fuqaha Rh. Quran wa Hadees se Masail Nikaalne ke Ahem Kaam ke Liye Maqsoos Hai , Yahi Hazraat Halaal aur Haraam usoolo Ko Jama Karne aur Murattab Karne ka Ahtemaam Karne Wale Hai , Yeh Fuqaha Rh. Zameen me Aise Hai Jaise Aasmaan Me Roshan Sitare , Inhe Fuqaha Rh. se Zariye Jehalat ki Andheriyo me Bhatke Huwe Logo ko Hidayat wa Rehnumai Hasil Hoti Hai Logo ko Apni Ghiza se Zyada Fuqaha Ikraam ki Zarurat Hai aur Quran ki Roo se Musalmaano par Fuqaha Ikraam Ki Itaa-at , Maa Baap ki Itaa-at se Zyada Farz Hai.(Alaamul Muwaqqi-een: 7/10)